Showing posts with label Romantic-Shayari. Show all posts
Showing posts with label Romantic-Shayari. Show all posts

Friday, 28 September 2012

Jab bhi hogi pehli baarish

Romantic Hindi SMS 

Jab bhi hogi pehli baarish
tumko samne payenge
woh bundo se bhara chehra
tumhara hum kaise dekh payenge…


Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Mein

Romantic Hindi SMS 

Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Mein,
Yaad Meri Aaye Jab Judai Mein,
Mehsus Karna Tumhare Hi Paas Hoon Main,
Jab Chahe Mujhe Dekh Lena Apni Parchai Mein…


Saturday, 25 August 2012

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya




Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya
Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........
Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,
Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !
Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,
Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!
Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab
Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha
Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,
Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!

Wednesday, 22 August 2012

Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon



Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,
Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,

Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,
Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,

Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,
Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,

Aa chal thaam le ab tu mera hath,
Tere naam ko mein apna naam deta hoon,

Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,
Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,

Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,
Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..:)

KANTO KO CHUNA SIKHAYA NAHI JATA




KANTO KO CHUNA SIKHAYA NAHI JATA

PHULON KO KHILNA SIKHAYA NAHI JATA

KOI BAN JATA HAI KHUD HI APNA

KISIKO APNA BANAYA NAHI JATA.... :)

Monday, 20 August 2012

Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki


Romantic Shayari on Beauty
Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki,
Aur Koi Hasrat Nahi Hai Tere Deewane Ki,
Shikva Mujhe Tujhse Nahi Khuda Se Hai,
Kya Zururat Thi Tujhe Itna Khubsoorat Banane Ki…




Dil ki tabiyat romantic ho rhi hai


dil ki tabiyat romantic ho rhi hai
lgta hai koi pass anewali hai
sanjeet sanjeet kahkar bahuton ne bulaya
lagta koi "aji tunua ke papa " kahkar koi mujhe bulanewali hai
                                  jivan ka almost 30% safar to kat gya
                                  lekin lagta hai jald hi iss safar ki humsafar anewali hai

Ek Gujarish Hai Tujhse Zara Tham Ke Barasna,


Rainy Day Shayari
Ek Gujarish Hai Tujhse Zara Tham Ke Barasna,
Aa Jaaye Jab Mera Mehboob To Phir Jamm Ke Barasna,
Yun Pehle na Barasna Ki Wo Aa na Sakey,
Aa Jaaye Mere Pass To Itna Barasna Ki Wo Ja Na Sakey…